SEARCH ENTIRE WEBSITE:
Home
About Islamabad
Search By Categories
Photo Gallery
Poetry
Contact Us
Love Poetry
Mohabat Mei Ye Kya Muqam Aa Rahe Hain
Ke Manzil Pe Hain Aur Chale Ja Rahe Hain
Yeh Zaat Tamasha Ban Chuki Hai,
Duniya Ke Mele Se Thak Chuki Hai
Nazar Jo Koi Bhi Tujh Sa Haseen Nahi Aata
Kisi Ko Kya Mujhe Khud Bhi Yaqeen Nahi Aata
Ae Dost Ham Ne Tark-e Mohabat Ke Bawajod
Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi
Aik Maqam De Rakha Hai Tere Naam Ko
Log Baat Manwaa Lete Hain Tera Zikar Kar Ke
Be Tahasha Hain Sitare Lekin
Chaand Aik Adad Hai Had Hai
Tumhara Kia Bigara Tha Jo Tumne Tor Dala Hai
Ye Tukre Mai Nahi Lun Ga Muje To Dil Bna Kar Do
Kahan Mai-Khana Ka Darwaza ‘Ghalib’ Aur Kahan Waaiz
Par Itna Janta Hain Kal Wo Jaata Tha K Hum Nikle
Woh Jo Rehti Thi Dil Muhalle Mein,
Phir Woh Larki Mujhe Mili Hee Nahi
Mohabat Mein Ik Aesa Waqt Bhi Dil Par Guzarta Hai
Ke Aanso Khusk Ho Jate Hain Tughiani Nahi Jaati
Ab Kar Ke Faramosh To Nashad Karoge
Par Hum Jo Na Honge To Bohut Yaad Karoge
Tum Hi Se Raaste Milte Hain Jaa Kar
Tum Hee Toh Ho Koi Dil Mein Agar Hai
Teri Tasveer Ko Chune Se Pehle
Teri Pakeezgi Mad-e-Nazar Hai
Mohabat Ka Tum Se Asar Kya Kahun
Nazar Mil Gayi Dil Dharkne Laga
Dushmani Muj Kiye Ja Magar Apna Ban Kar
Jaan Le Le Meri Sayad Magar Payar Se
Un Ke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Ronaq
Wo Samajhte Hain K Bimar KA Haal Achaa Hai
Ajab Saneha Hai Ke Itni Be Rukhi Ke Bawajood Bhi Woh Sang Dil,
Mere Dil Mein Utarta Gaya, Mere Dil Se Nahi Utara
Tujhe Bhol Kar Bi Na Bhula Skoon, TUje Chah Kar Bi Na Pa Skoon
Meri Hasratoon Ko Shumar Kar Meri Chahton Ka Sila Na da Day
Ye Samandar Hi Ijazat Nahi Deta Warna
Main Ne Pani Pe Tere Naqsh Bna Dene Thay
Aamir Na Kar Jeet Ki Lagan Ab,
Jaane Kab Ka Hai Tu Haar Aaya
Lakhon Mein Intikhab Ke Qabil Bna Dya
Jis Dil Ko Tum Ne Dekh Liya Dil Bna Diya
Jin Se Afsaan-E Hasti Mein Tasalsul Tha Kabhi
Un Mohabat Ki Ravayat Ne Dam Tor Diya
Jhuki Jhuki Si Nazar Be Qarar Hai Ken Ahi
Daba Daba Sa Sahi Dil Mein Payar Hai Ke Nahi
Apna Pyar Kitna Pak Raha Janam
Chooma Sirf Tere Peghamaat Ko
Taab Laaye Hi Banegi ‘Ghalib’
Waqiya Sakht Hai Aur Jaan Aziz
Log Kehte Hain Tum Thora Badal Gaye Ho,
Batao Tute Hue Pattay Rang Bhi Na Badlen Kya
Tum Jab Bhi Mila Karo Nazrain Utha Kar Milla Karo
Mujhe Pasand Haii Tumhari Aankho Main Apna Chehra
Aakhir Lag He Gae Na Tumhain Muhabbat Ki Thand
Kitna Samjhaya Tha Kay Aurh Lo Tamana Meri
Mehsoos Kar Mujhay To Khud Main Kahin Pay
Hai Teri Dharkan Jahan Main Hon Wahin Pay
Kaash Ke Mil Jaye Mujhe Muqaddar Ki Siyaahi Aur Qalam
Lamhe Lamhe Ki Khushi Likh Doon Tumhari Zindagi Ke Liye
Ketne Majboor Hain Hum Muhabat Ke Hathon
Na Tujhe Pane Ki AoQat Na Tujhe Bhol Jane Ka Hosla
Tum Ko Paanay Ki Tamana Main Guzri Hoti
Aik Jaan Aur Bhe Hoti To Tumhari Hoti
KOi JūRM Nāhi Ishq Jo Duniya Sy Chupaye HuM
HuMny TuMhy Chāha Hai Hazāron Me Kahy Gy
Apnay Dil Se Keh Do Kisi Aur Ki Muhabbat Ka Na Soochay
Aik Me He Kaafi Hon Tujhay Saari Umar Chahnay Kay Liay
Tumhe Yaad Karna Bhi Ek Ehsas Hai
Esa Lagta Hai Ki Jese Tu Har Pal Mere Sath Hai
Itna Bhi Khubsrat Na Hua Kar Aay Mousam
Ab Har Kisi Ke Pas Mehboob Nahi Hota
Nafrat Ki Aag Ko Muhabat Kay Laho Sy Buja Dena Fitrat Hai Humari
Hm Wo Pagal Log Hain Jinhen Kisi Ki Nafrat Sy Bhe Pyar Ho Jata Hai
Rukh_e_Yaar” Par Likh Easa KaLaaM “Ay Dil_e_Nada’n
Jis Ko Bhi Sunao’n Wo Tery DeeDaaR_ Ko Tarsay
Naseeb Se Jo Mil Jaey Usay Muhabbat Nahin Kehtay
Muhabbat To Ibadat Hai Aur Ibadat Karni Parti Hai
Ujāle Apnī Yādoñ Ke Hamāre Saath Rahne Do
Na Jaane Kis Galī Meñ Zindagī Kī Shaam Ho Jaye
Koī Samjhe To Ek Baat Kahūñ
Ishq Taufīq Hai Gunāh Nahīñ
Ek Muddat Se Tirī Yaad Bhī Aa.Ī Na Hameñ
Aur Ham Bhuul Ga.E Hoñ Tujhe Aisā Bhī Nahīñ
Ab Ke Ham BichhḌe To Shāyad Kabhī ḳhvāboñ Meñ Mileñ
Jis Tarah Sūkhe Hue Phuul Kitāboñ Meñ Mileñ
Mohabbat Meñ Nahīñ Hai Farq Jiine Aur Marne Kā
Usī Ko Dekh Kar Jiite Haiñ Jis Kāfir Pe Dam Nikle
Ishq Nāzuk-Mizāj Hai Behad
Aql Kā Bojh Uthā Nahīñ Saktā
Ishq Ne 'Ġhālib' Nikammā Kar Diyā
Varna Ham Bhī Aadmī The Kaam Ke
Ab Judā.Ī Ke Safar Ko Mire Āsān Karo
Tum Mujhe ḳhvāb Meñ Aa Kar Na Pareshān Karo
Aur Bhī Dukh Haiñ Zamāne Meñ Mohabbat Ke Sivā
Rāhateñ Aur Bhī Haiñ Vasl Kī Rāhat Ke Sivā
Huā Hai Tujh Se BichhaḌne Ke Ba.Ad Ye Ma.Alūm
Ki Tū Nahīñ Thā Tire Saath Ek Duniyā Thī
Fāsle Aise Bhī Hoñge Ye Kabhī Sochā Na Thā
Sāmne Baithā Thā Mere Aur Vo Merā Na Thā
Kis Kis Ko Batā.Eñge Judā.Ī Kā Sabab Ham
Tū Mujh Se ḳhafā Hai To Zamāne Ke Liye Aa
Achchhā ḳhāsā Baithe Baithe Gum Ho Jaatā Huuñ
Ab Maiñ Aksar Maiñ Nahīñ Rahtā Tum Ho Jaatā Huuñ
Khoon Ki Boondon Se Istaqbal Karen Ge
Mere Dil Ki Galyon Se Mera Yaar To Guzre
Zindagi Pur-Waqar Chahta Hoon
Tujh Pe Bas Ikhtiyaar Chahta Hoon
Lab Pe Izhar Aaj Aa Hi Gaya
Main Tujhe Beshumar Chahta Hun
Raah Me Teri Bicha K Palkain
Lazzat-E-Intazar Chahta Hun
Jis Nazar Me Sharab Sa Nasha Hai
Us Nazar Ka Khumaar Chahta Hoon
Kabhi Guzro Na Humari Gali Se K Tera Dedaar Karen
Aur In Aankhon K Teer Se Tere Dil Par Waar Karen
Tumhare Wastay Hi Jee Rahe Hein
Hamari Chahton Ka Maan Rakhna
Bina Tere Na Ik Pal Ho
Na Bin Tere Kabhi Kal Ho
Ye Dil Ban Jaye Pathar Ka
Na Is Me Koi Halchal Ho
Mujhe Kuch Pal De Qurbat K
Faqeer Hum Teri Chahat K
Rahy Bechain Dil Kab Tak
Milain Kuch Pal To Raahat K
Mere Zoaq Me Rehta Hai Tumhara Aks Ayaan
Tumhara Hona, Mere Hony Ki Wajah Ho Jese