Suno Sahib! Kabhi Hum Se Bhi Pooch Lia Karo Haal-e-Dil
Kabhi Hum Bhi Muskura K Kahain, Dua Hai Aap Ki
Meray Yaar Se Kehna, Ik Yaar Tha Tumhara
Tum Zindagi Thi Uss Ki, Woh Pyar Tha Tumhara
Mere Liye To Yeh Bhi Azziyat Ki Baat Thi
Tujh Ko Bhi Haal-e-Dil Sunana Para Mujhe
Mujhe Ab Kho K Kehta Hai, Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kisi Ka Ho K Kehta Hai, Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Auqaat Se Zyada Mohabbat Ker Li
Isi Liye Bardasht Se Zyada Dard Mila
Chor Janay Ka Koi Dukh Nahi Naqeeb
Bas Koi Aisa Tha Jis Se Yeh Umeed Na Thi
Itne Pyar Se Chaha Jae To Pathar Bhi Apne Ho Jate Hein
Yeh Mitti Se Banay Log Na Janay Itne Magroor Kyun Ho Jate Hein
Wajuhat Mere Rooth Jane Ki Bohot Hein Lekin
Iss Khyal Se chup Hoon, Phir Manaye Ga Kon
Hum Kaisi Aag Me Jal Rahe Hein
Na Jee Rahe Hein Na Mar Rahe Hein
Sab K Hote Hue Bhi Tanhai Milti Hai
Yaado Mein Bhi Ghum Ki Parchai Milti Hai
Jitni Bhi Dua Karte Hain Kisi Ko Panay Ki
Utni Hi Ziyada Un Se Bewafai Milti Hai
Kabhi Arsh Per Kabhi Farsh Per
Kabhi Un K Dar Kabhi Darbadar
Gham-E-Aashiqi Tera Shukriya
Main Kahan Kahan Se Guzar Gye
Ek pal ke liye mujhe door jaane do,
Tere pyar ke nashe me doob jaane do,
Kaabil na raha ab mai tere pyar ka,
Woh ek sapna hi tha…ab toot jaane do.
Kuch Yaad Kar Ke Aankh Se Aansoo Nikal Paray
Muddat Ke Baad Guzrey Jo Uski GaLi Se Hum
Kitna kuch Janta Hoga Wo Shaks Mere Baray me
Jis ne Mujhe Hanstay Howe Daikh kar Bhi Pocha,
“Udaas Q Ho?”
Rasta hi naya hai, nah main anjaan bohat hoon,
Phir Kyun’malaamat mein hoon, nadaan bohat hoon,
Ik umar jisse Khawab Ki manind hi dekha,
Choone Ko mila hai toh pareshaan bohat hoon,
Mujh mein Kabhi aahat Ki tarha se Koi aaye,
Ik band gali Ki tarah sunsaan bohat hoon,
Uljhein Ge Kayi baar abhi lafz se mafhoom,
Saada hai bohat woh, nah main asaan bohat hoon
Kal shab woh baadlon Ki oout
Se nikal aayi.
Woh chaandni mujhse milne
Chali aayi
Maine poocha Kaisi ho.
Woh boli achi hon.
Maine Kaha tanha tanha si lagti ho.
Hans di aur boli.
Teri nazron Ka dhoka hai.
Unginnat taaron K jhurmat mein
Mera baseera hai.
Phir bhala Kaise main tanha hotii hon.
Main muskara di uski iss.
Ada-e-saadgi-o-masomiyat pe.
Magar nah jaane Kyun..
Meri palkain bheeg si gayi thein.
Shayed main uss mein
Aayina dekh bethi!!
Nobody knows us empty
This smile that I wear,
The real one is left in the past
because You have left me there
Muj Ko Rula Kar Wo Bhi to Roya Hoga,
Mooh Ashqo Se Usne Bhi to Dhoya Hoga,
Agar Na Kiya Hai Kuch Hasil Hum Ny Pyar Mein,
Kuch Na Kuch Usne Bhi To Zarur Khoya Hoga
K!S! Se Na Mily AADTAN Zindag! Bhar Hum
Or L00G Humain FITRATAN Magr00r Samajty Rahe
Majboori Mei Jb Koi Judaa Hota Hai
Zaruri Nahi K Woh Bewafa Hota Hai
Kahan Tak Talash Karo Ge Tum Muj Jesa Shakhs
Jo Tum Se Juda Bhi Rahe Aur Tum Se Muhabat Bhi Kare
Ye Thandi Hawa Kya Ghazab Kar Gayi
Purani Yaadein Taaza Kar Gayi
Sukhi Thi Ye Aankhein Ek Arse Se
Phir Kisi Ki Yaad Inme Pani Bhar Gayi
Mujh Ko Fursat Hi Kahan Mosam Suhana Dekhoon
Main Teri Yad Se Niklu To Zamana Dekhu
kyun kehty hain log k sohbat ka asar prta hai
Main to Bewfaon ki Mehfil Mei Reh kr bhi Wafaaen nibhata rha
Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai
Kar K Mohabbat Kisi se Yeh Dil Rota Hai
Dard Ka Ehsas To Tab Hota Hai Jab..
Kisi Se Mohabbat Ho Aur
Us K Dil Mei Koi Aur Hota Hai
Hum ko Khushi Mili bhi to Kahan Rakhein Ge Hum
Ankhon Mei Hasratein Hain or Dil mein Kisi ka Gham
Milein Ge Zindagi Mei Bohat Log Tumhe
Par Hum Jaisa Milna Mushkil Hai
pyar Karna Toh Bada Aasaan Hai
zindagi Bhar Nibhaana Namumkin Hai
Abhi Tak Yad Kr Rahe Ho Pagal Ho Tum Qasam Sy
Us Ny To Tere Baad Bhi Hazaron Bhula Diye
Wo Aik Bat Bohot Talkh Kahi Thi Us Ne
Bat To Yad Nahi Par Yad Hai Lehja Us Ka
Bharosa Mat Karna Is Duniya Ke Logon Pe
Mujhe Tabah Karne Wala Mera Bahot Azeez Tha
Kyun Itne Kareeb Chala Aata Hai Koi,
Kyun Mohabbat Ka Ehsaas Dila Jata Hai Koi..
Jab Aadat Ho Jati Hai Dil Ko Uski,
To Kyun Tanha Chhor K Chala Jata Hai Koi..!!
Meri Sanso Ko Aadat Hai Tumhari Yad Se Chalne Ki
Ruk Jaen Gi Yeh Sansain Jis Din Tum Yad Nahi Ao Ge
It is always better to move away from someone
who sees your love only as your weakness;
waiting to be manipulated any time.
Mera us shehar-e-Adawat mein basiyra hai Jahan
Log Sajdon mein bhi logo ka bura sochty Hain
Bohot Naz Tha Muje Apny Chahy Walon Per
Main Aziz Tha Sub Ko Mager Zarorton K Liye
Wafa Na Kar Sakun To Naraz Mat Hona
Dil Se Utar Jaun To Naraz Mat Hona
Pyar Mera Sacha Hai Ek Din Dikhaun Ga
Maut Mohlat Na De To Naraz Mat Hona
Kahan Wafa Milti Hai In Mitti K Haseen Insano Se
Yeh Log Bina Matlab Khuda Ko Bhi Yad Nahi Kerte
When You Are In Light,
Everyone Follows You.
But
When You Are In Dark,
Even Your Shadow Leaves You!!!
This Is Life
Some promises are always unbroken..
Some memories are always unwritten..
Feel the magic of true relation..
U’ll realize that true feelings are always unspoken..!
Some promises are always unbroken..
Some memories are always unwritten..
Feel the magic of true relation..
U’ll realize that true feelings are always unspoken..!
Ansoo Behany Sy Kabhi Koi Apna Nahi Banta
Jo Dil Sy Pyar Krty Hain Wo Kabhi Rony Nahi Detay
Nazron Se Gir Gye
Is Se Achha Tha k
Dil Se Utar Jate...
Zindagi Se Poocho Yeh Kia Chahti Hai
Bus Aik Zara Si Wafa Chahti Hai
Kitni Masoom or Nadan Ha Zindagi
Khud Bewafa Hai or Wafa Chahti Hai
Ajeeb Daastaan Hai Yeh
Kahaan Shuru Kahaan Khatam
Ye Manzilen Hain Kaun Si
Na Woh Samajh Sake Na Hum
I Was Your Cure,
But You Were My Disease
I Was Saving You,
but You Were Killing Me
Kya Kahen Kuch Kaha Nahi Jata
Teri Judai Ka Dukh Saha Nahi Jata
Yeh Thami Hoi Saansein Tumen Awaz De Rahi Haen
Loat K Aa Jao Ab Tum Bin Raha Nahi Jata
Aisa Nahi K Ghum Ne Barhai Ho Apni Umer
Mausam Khushi Ka Waqt Se Pehle Guzr Gaya
Kash Koi Aisa Bhi Ho
Jo Andar Se Bahir Jaisa Ho
Hadood-e-zindagi Mein Jab Koi Mushkil Mukaam Aya
Na Gairo Ne Tawaja Di Na Apna Koi Kam Aya
Main BudDua To Nahi De Rahi Uss Ko Magar
Ab Dua Yehi Hai K Uss Ko Muj Sa Koi Na Mile
Fakhar Ye K Tum Mere Ho
Fikar Ye K Najany Kab Tak Ho
Chalo Bataon Tumhen Ek Nishani Udaas Logon Ki
Kabhi Ghor Karna, Ye Hanstey Bohat Hain
Us Ki Zindagi mei Humari Ehmiat Aik Khalony Jesi Hai
Dil Krta Hai To Khelta Hai, Dil Bherta Hai To Torta Hai
Mukhtasir Mohabbat Hai
Mukhtasir Anjam Ho Ga
Tum Bichar Jao Ge
Ham Bikhar Jaen Ge
Tum To Chand Ho Jis Ko Sab Log Yaad Krte Hain
Hamari Qismat To Sitaron Jesi Hai
Yaad To Door Ki Baat Hai
Log Apni Dua K Liye Hmare Tootny Ka Intzar Krte Hain